Shab e Qadr 2023 Quotes in Urdu – Laylatul Qadr Status

Shab e Qadr also called Laylatul Qadr is a special night in Ramzan. Share beautiful quotes in Urdu on Shab e Qadr 2023 in Status and Captions. It is the night to seek the blessings of Allah Almighty.

Shab e Qadr 2023 Quotes in Urdu

Hazrat Muhammad (S.A.W.) Ne Farmaea, “Jou Saksh Iman Aur Sawab Ki Niat Say Shab-e-Qadar Ka Qiam Kerta Hai, Uskay Pehclay Gunnah Maaf Ker Dea Jatay Hain.”

“Shab-e-Qadr Tumharay Labon Say Aik Dua Nikalnay Ki Diar Hoti Hai
Aur Qabooleat Ke Mojzon Ko Hukum-e-Kun Day Dea Jata Hai”

Aik Rawaiat Mein Hai Keh Hazor Akram (S.A.W.) Ne Bani Israeal Ke Aik Saksh Ka zikar farmaea Keh Woh Aik Hazar Mahenay Tak Allah Ki Rah Mein Jihad Kerta Raha. Sahaba Ko Us Par Rashk Aea Tou Allah Ne Iski Talafi Ke Lea Shab e Qadar Ka Nazol Farmaea.

“Shifa Bun Jatay Hain Woh Anso Jou Taaq Raat Mein Bahay Jatay Hain
Kun Kehta Hai Allah Aur Ik Pal Mein Muqadar Badal Jatay Hain”

Hazrat Anas Bin Malik (R.A.) Ne Farmaea, “Jab Ramzan Ka Mahena Shuru Hua Tou Hazor (S.A.W.) Ne Farmaea Keh Yeah Mahina Tum Mein Aya Hai, Aur Iss Mein Aik Raat Esi Hai Jou Hazar Maheno Say Bethar Hai Tou Jou Saksh Iski Barkaton Say Mehroom Raha Woh Tamam Bhalaeon Say Mehroom Raha Aur Nahi Mehroom Rakha Jata iski Bhalaeon Say Magar Jou Bilkul Bay-Naseeb Hou.”

Read More: Shab-e-Qadar Ki Ibadat & Nawafil in Urdu

Hazrat Ayesha (R.A.) Nay Farmaea, “Hazor Pak (S.A.W.) Jis Qadar Ramzan Kay Akhri Ashray Mein Kosish Farmatay Thay Utni Kisi Dosray Ashray Mein Na Farmatay Thay.”

“Shab-e-Qadar Allah Ka Inam Hai Jou Mangnan Hai Mang Lo Momino
Tafarqay Mein Na Parro Allah Ki Rassi Mazboti Say Tham Lo Momino”

To Update or Add any Information in this article, please contact us via Email.

Sara Rayan

Sara Rayan is content writer at Showbiz Hut. She is responsible for writing the articles related to the latest dramas, series, and celebrity buzz with infectious enthusiasm. Sara has more than 5 years of experience in creating engaging content related to entertainment industry.