Imam Hussain Poetry in Urdu – Karbala SMS & Shayari
Poetry on Hazrat Imam Hussain about love, humanity, and Karbala. Here we have the best Poetry about Imam Hussain in Urdu, Karbala Shayari, and SMS.
Imam Hussain Poetry in Urdu
Kahani Bus Itni Si Hai
Yazeed Tha, Hussain Hai
Islam Mit Raha Tha Bachaea Hussain Nay
Bhujaty Huay Chiraj Ko Jalaea Hussain Nay
Jannat Saja Keh Dasht Ki Matti Pay Ba-Khuda
Dekho Lgae Arsh Kay Melay Hussain Nay
Ishq Main Kya Bachae, Ishq Main Kya Lutae
Aal-e-Nabi Nay Likh Dea Sara Nisab Rait Par
Moujza Tou Dekh Fatima Zahra Kay Laal Ka
Har Qoum Pukarti Hai Hmare Hain Ya Hussain
Qatal-e-Hussain Asal Mein Marg-e-Yazeed Hai
Islam Zinda Hota Hai Har Karbala Ke Bad
Gham Qismat-o-Taqdeer Ka Kya Aazadar Ko
Keh Loh-o-Qalam Ka Malik Hussain Hai
Nazar Ka Nour Dil Ka Chain Kehtay Hain
Nabi (S.A.W.) Bhi Apni Ibadat Ka Zain Kehtay Hain
Jou Apni Jan Ganwa Day Hifazat-e-Haq Main
Usay Tou Dil Ki Lughat Main Hussain Kehtay Hain
Nana Ko Kyun Na Naaz Ho Nawasay Par
Har Qoul Mustafa Ka Nibhaea Hai Hussain Nay
Agar Koe Pochay Keh Mout Kia Hai Tou Kehna
Ishq-e-Hussain Ka Dil Main Na Hona Mout Hai
Jin Ko Dhokay Say Koday Bulaea Gaea
Jin Ko Bathay Bithae Sataea Gaea
Jin Kay Bachon Ko Piasa Rulaea Gaea
Jin Ki Gardan Pay Khanjae Chalae Gaea
Read More: Imam Ali Quotes in Urdu about Love and Anger