Autumn Season Poetry in Urdu – Khizan Ka Mausam Shayari
After a long Summer Season, Autumn Season always brings new excitement to life. Share best Autumn Season poetry in Urdu with your friends and family and make this Fall more excited. Inspisring mosam Khizan poetry in Urdu.

Autumn Season Poetry in Urdu
“Shokhe Pattow Mein Bhi Ane Lagi Mushk e Amber
Teri Bhikri Huvi Yadien Aur Yeah Zerd December”
“Khizan Mein Apne Patoow Ki Judai Ki Aziat Ko
Shajer Mehsos Krta Hai Mager Kuch Ker Nhe Skta”
“Khizan Rakhe Gi Darakhatow Ko Besamer Kab Tak
Guzer Hi Jae Gi Yeah Rut Bhi Hosla Rakhna”
“Aay Zindgi Teri Kitaab Mein Hum
Sukhee Phoolow Ki Mannid Dhere Rah Jaien Gy”
“Meri Zindgi Pe Na Muskara Mujhe Zindgi Ka Alam Nhe
Jise Tere Gham Se Ho Wasta Vo Khizan Bahar Se Kam Nhe”
“Badalte Mosum Pe Apni Umeedien Na Rakhna…
Din Baharow K Bere Mukhtaser Huva Krte Hain”
“Wakat Hai Jhonka Hawa Ka Aur Hum Sukhe Patee
Kon Jane Agle December Tum Kahan Aur Hum Kahan”
“Pat Gher Ki Dahleez Pe Bikhre
Be Chehra Patow Ki Soorat
Hum Ko Sath Lie Phirti Hai
Tere Dihan ki Taaz Hawa”
“Khizan Ke Zard Patoow Ka Vo Manzer Yaad Krta Hai
Use Kehna Bohat Us ko November Yad Krta Hai…
Use Kehna K Yakh-Basta Hawaien Zakham Deti Hain
Use Kehna Use Eik Shakhs Akser Yad Krta Hai
Use Kehna K Us Ko Bhool Jana Bas Se Baher Hai
Use Kehna Use Koi Be Hisaab Yaad Krta Hai”
“Hazarow Mosamow Ki Hukmarani Hai Mere Dil Per
Wasi Mein Jub Bhi Hasta Hoon To Ankhien Bheeg Jati Hain”
“Khizan Jab Tak Chali Jati Nhe Hai
Chaman Valon Ko Neend Ati Nhe Hai”
Read MORE: Funny & Cute Fall Instagram Captions