Parizaad Drama Poetry – Urdu Shayari Lyrics
Parizaad is a 2021 novel-based drama. Parizad novel was written by famous writer Hashim Nadeem. In Parizaad drama, the lead role of Parizaad is performed by talented actor Ahmed Ali Akbar and his acting is outstanding. Let’s have a look at the heart-touching poetry lyrics of the drama Parizaad.
Parizaad Drama Poetry
Vo Sach Hi Tu Kahta Tha
K Hamesha Deer Ki Mein Ne
Zarori Bat Kahne Mein
Koi Wada Nibhane Mein
Koi Zarori Bat Kahne Mein
Tumhe Awaz Dene Mein
Tumhe Wapas Bulane Mein
Hamesha Deer Ki Mein Ne
Han Mein Janta Hun
Vo Sach Kah Gia Tha
Tumhe Milne Se Pahle
Aur Tumhe Pa Lane Tak
Aakhir Kyun Itni Deer Ki Mein Ne
Kitni Galiaa Kitne Raste Kitne Log Kitne Chere
Inhi Rastow Pe Chal K kitne Bachpan Jawani Mein Dhale
Lekin Un Ka Kia Jinhe In Rastow Ne Kabhi Kabol Nhe Kia
Kisi Nazer Ne Kabhi Palat Ker Nhe Dekha
Khate Hain Qudrat Kabhi Kisi Ko Namukmal Nhe Banati
Yeah Hum Hain Jo Alag Alag Pimane Tarashte Hain
Hamesha Deer Ker Deta Hun
Zarori Bat Kahni Ho
Koi Wada Nibhana Ho
Use Awaz Deni Ho
Use Wapas Bulana Ho
Hamesha Deer Ker Deta Hun
Madad Krni Ho Us Ki
Yaar Ki Dharas Bhandana Ho
Bohat Dareena Rastow Per Kisi Se Milne Jana Ho
Hamesha Deer Ker Deta Hun
Badalte Mosamow Ki Seer Mein Dil Ko Lagana Ho
Kisi Ko Yaad Rakhna Ho Kisi Ko Bhool Jana Ho
Hamesha Deer Ker Deta Hoon Mein
Kisi Ko Moot Se Pahle Kisi Gham Se Bachana Ho
Hakikat Aur The Kuch Us ko Ja K Yeah Batana Ho
Hamesha Deer Ker Deta Hun Mein
Suna Hai Jahan Beraf Perti Hai
Us Gaoow Ki Kachi Galiow Mein
Sar e Sham Endhere Utter Ate Hain
Hum Baraf Se Koi Rasta Nikalien Gy
Maan K Jugnoow Jala Leien Gy
Mere Parow Mein Peri Yeah Sabaz Pakdandiaa
Aik Barafposh Choti Ko Jati Hain
Jahan Sooraj Bhi Dhoop Sakne Ko Ata Hai
Hum Wahin Apna Makan Bana Leien Gy
Aur Maan K Jugnoow Jala Leien Gy
Abhi Raste Kathan Aur Manzalien Seraab Hain
Abhi Meri Rahow Mein Jane Kitne Sehra
Kitne Jangle Aabad Hain
Hum Inhi Janglow Ko Dost Bana Leien Gy
Aur Maan K Jugnoow Jala Leien Gy
Is Gaoow Mein Mera Purana Kacha School Hai
Jis Ki Dewarow Per Aaj Bhi Naam Likha Hai
Chlo Eik Baar Phir Beraf Se Inhi Sab Takhtiow Ko Dho Dalien
Aur School Se Pare Dhalti Sham Mein
Hum Maan K Jugnow Jala Leien Gy
Aur Suno Kabhi Ager Tum Dobara Yahan Se Guzro
To Raste Se Kuch Khawab Laay Ana
Phir Hum Apne Bastow Se Eik Nai Tabeer Nikalien Gy
Aur Sab Mil Ker Maan K Jugow Jala Leien Gy
Mere Khawab, Tumahre Khawab, Hamare Khawab
Itne Sare Khawab, Raaj Dolare Khawab
Cahnd Aur Taree Khawab
Meri Jholi Mein Tumhare Daman Mein
Aur Kia Rakha Hai
Bas Khawab Hi Khawab
Hum Sab Apne Khawbow Ki Ghatri Kandhe Pe Laade
Derbader Bhatakte Hain
Mager Tabeer Nhe Milti
Hamare Khawabow Ki Tabeerien
Jane Kisi Anjane Mein Ghafil Neand Ki Chader Tane Soi Peri Hain
Lekin Hamre Bechain Khawab Masalsal Jag Rahe Hain
Suno! Kia Tum Ne Kabhi Serhad Dekhi Hai
Sarhad K Paar Apna Gher Hota Hai
Kuch Ajnabi Si Khushiaa
Kuch Shanasa Gham Hote Hain
Thore Paree Se Apne
Kuch Apnow Jase Paray Hote Hain
Jab K Serhad K Dusre Par
Ghaial Krne Vala Jani Dushman
Kantow Vali Baar Khandakien Aur Pehredar
Mein Bhi Aaj Eik Esi Serhad Per Kherha Hun
Meri Aur Tumhari Mohabbat Ki Serhad
Serhad K Is Paar Mera Sub Kuch Hai
Kamyabiaa Kamraniaa Shadmaniaa
Ezaat Dolat Shohrat K Sukh
Mager Serhad K Us Paar
Ghaat Lagae Bethi Aik Dushman Mohabbat
Zinda Qaid Aur Kafas
Raswaioow Ki Khandak
Aur Badnamiow Ki Khardar Taar
Aur Mein Dhalti Sham K Sayee Taale
Is Serhad k Beech Kherha Hun
Yeah Soch Raha Hun K Wapas Loot Jaow
Ya Mohabbat ki Yeah Serhad Paar Kr Loow
Kyun K Serhad K Is Janib Mera Sub Kuch Hai
Jab K Serhad K Us Paar Tum Ho
Kia Tum Ne Kabhi Dekha Hai
Kahani Ka Koi Sanwi Kardar
Gali K Endhere Noker Per
Kisi Lamp Post Tale
Cigrate Ka Dhuwa Urata Vo Ajnabi
Ya Taaz Barish Ki Bochar Mein Chatri Tanne
Door Ker Serak Par Krta Eik Anjan
Jise Bhagti Train Ki Khirki Se Dikhta
Platform Pe Betha Koi Gumnam
Yeah Chote Chote Sanvi Kerdar
Be Rabat Se Gher aham Se
Bina Kisi Zom Bina Kisi Bharam K
Eik Lamhe Mein Nazer Se Ojhal Ho Jane Vale
Jin Per Merkiziat Ka Bhoj Na Koi ilzam
Bas Vohi Kardar Jena Chata Hun
Mein Kahani Mein Bohat Din Merkerzi Raha
Aab Fakat Aik Sanwi Kardar Banna Chata Hun
Kitna Mahroom Hum Mein
Kitna Maiseer Hai Mujhay
Zara Sehra Hai Mujhay
Qatra Samander Hai Mujhay
Mohabbat Roth Jae To Wabaien Phal Jati Hain
To Dakh Lo Jana Tumhare Saher Mein Aaj
Jangalow Ka Sakot Hai
Tumhae Naaz Tha Jis Per
Vo Mohabbat Bhi Mashrot Hai
Tumhara Hussan Bas Eik Serab Hai
Aur Kia Dilkash Kia Badsurat
Aur Kia Dilkash Kia Badsurat
Her Cehre Per Niqab Hai
Her Shaksh Bahijab Hai
Kabhi Tum Ne Kaha Tha Wapas Loot Jao
Kabhi Tum Ne Kaha Tha Wapas Loot Jao
K Mohabbat Haq Hai
Faqat Kuch KhubRoaow Ka
Hussan K Shehzadaow Ka
Bohat Dilkash Se Jismaow Ka
Falak K Parizaadow Ka
Mager Is Soghat Se Aari
Mein Aik Aam Sa Kari
So Wapas Loot Aya
Mager Yeah Kah Na Paya
Bohat Berbad Hote Hain
Fakat Chehre Kahan Kuch Dil Bhi Parizad Hote Hain
Yeah Dil Jo Toot Jae To
Falak Bhi Kanap Uthte Hain
Mohabbat Roath Jae to Wabien Phail Jati Hain
Mohabbat Roath Jae to Wabien Phail Jati Hain
To Dakh Lo Jana Tumhare Saher Mein
Aaj Janaglow Ka Sakoot Hai
Tumhe Naaz Tha Jis Per
Vo Mohabbat Bhi Mashroot Hai
Tumhara Hussan Bas Aik Sarab Hai
Aur Kia Dilkash Aur Kia Badsorat
Aur Kia Dilkash Aur Kia Badsorat
Her Chehre Per Nikab Hai
Her Shakhas Bahijab Hai
“Mohabbat Aab Nhe Ho Gi
Yeah Kuch Din Baad Mein Ho Gi
Guzer Jaien Gy Jab Yeah Din
Yeah Un Ki Yaad Mein Ho Gi”
“Qisse Meri Ulfat K Jo Merqom Hain Sare
A Dakh Tere Naam Se Mersom Hain Sare
Shayed Yeah Zerf Hai Jo Khamosh Hoon Aab Tak
Verna To Tere Aiaab Bhi Maloom Hain Sare
Sab Juram Meri Zaat Se Mansob Hain Mohsin
Kia Mere Sawa Is Shaher Mein Masoom Hain Sare…?”
“Suno Tumhari Wafa Per Mujh ko Gerche Pura Yakeen Hai
Mager Zamane Ka Waar Ka Kuch Bharosa Nhe
So Ager Kabhi Asa Ho Tumhe Mujh Se Nafrat Ho Jae
Tu Kabhi Un Batow Se Nafrat Na Krna
Jo Kabhi Hum Ne Aik dusre Se Ki The
K Batien To Rabta Hoti Hain
Vo Bench Jahan Hum Betha Krte Thay
Vo Pahli Barish, Vo Cofee K Khali Mug
Vo Cinema Ka Pehla Ticket Aur Akhri Do Seatien
Sab Ko Yaad Rakhna
Kabhi Un Se Nafrat Mat Krna
K Yeah Sub Tu Lamhe Hain, Her Gharz Se Mawra
Suno Mujh Se Aur Bus Mujh Se Nafrat Krna
K Sirf Mein Aur Fakt Mein Hi Tumhari Is Nafrat K Kabil Hoon”
“Jab Dheme Dheme Hasti Ho
Us Barish Jesi Lagti Ho
Thori Dil Ki Kahti Ho
Ziada Dil Mein Rakhti Ho
Kyun Jaoow Rangraz K Paas
Tum to Sihaa Mein Bhi Jachti Ho
Krne Do Unhe Singhar
Tum Sada Bhi Sajti Ho”
“Suno, Tumhari Wafa Per Ghrche pura Yakeen Hai
Mager Dadalti Rotoow K War Ka Kuch Bharosa Nhe
So Ger Kabhi Esa Ho
K Tumhe Mujhe Se Nafrat Ho Jae
Aur Meri Rooh ki Komal Pankheriaa
Tumhe Kisi Babol Ki Manid Chubne Lagien
To Beete Dinow Ko Yaad Na Krna
K Yaadow Ka Zaher…Zakhaam Ko Bherne Nhe Deta
Haan Mager Dakho….
Kabhi In Batoow Se Nafrat Na Krna
Jo Hum Ne Ghantow Aik Saath Beth Ker Ki The
K Batien To Masoom Rabta Hoti Hain
Aur Kisi Kamnaseeb Ki Be-Rabti Se
In Batow Ka Lena Dena…?”
“Jab Barish Ki Pehli Boond Gire To Chle Ana
Mera Sandesa Mile Na Mile Tum Chle Ana”
“Piaas Kahti Hai Aab, Rait Nachori Jae
Apne Hise Mein Samander Nhe Ane Vala”
“Mein Tumhare Hi Dum Se Zinda Hoon
Mer Hi Jaoow Jo Tum Se Fursat Ho”
Ki Mere Qatal K Bad Us Ne Jafa Se Touba
Haay Us Zod e Pashemaa Ka Pashemaa Hona
READ MORE: Hum Kahan Kay Sachay Thay Drama’s Poetry
To Update or Add any Information in this article, please contact us via Email.